Wednesday, November 30

Arpana - The Offering

Kuch likhne ki chahat hain,

par kya likhon



Kuch kahne ki chahat hain,

par kya kahoon



kahin kalam ko kagaz pe rakhoon

to koi dard ki daastan na ubhar aajaye



kahin dil ki aawaz ko honton pe rakhon

to koi bhoola kissa is sannate ko naa cheer jaaye.



darr is baat ka nahin ki,

ki duniya ke dard ke dariya main ek aur

aah ki boond giregi



darr is baat ka hain ki

us ek boond se jo ahsaas khud se bhi

chupaaye rakha , usme ye tanhaayi doob jayegi.



kuch likhne ki chahat hain

par sochti hoon kuch naa likhon



kuch kahne ki chahat hain,

par dil ki awaaz ko khud main dabaye rakhti hoon.

2 comments:

Phoenix said...

cmon u can write better than this...

zabardasti kya hai, chahat se kuch bhi likha nahi jata...
jab kuch hota hai to woh apne aap likh jata hai

arpana said...

@phoenix, true ... Imade it up wehile I was driving , in fact it was much better then, forgot most of it by the time I could pen it and here's the watever version of it !

@Div ... thanks,