jinke baare hum sochte hain
unko hume dekhne tak ki pursat nahin
jinke yaad main hum aansoon bahate hain
unko shaayad hamari yaad bhi nahin
jinke liye wafa ki kasmein khaate hain
unhe humse bewafaayi karne ki bhi waqt nahin
jinhe humne apni zindagi samjha
unke to hum saaya bhi nahin
Phir bhi aye khuda,
ye tammana rahegi dil main hamesha
unhe hamari yaad naa aaye to kya
unke daaman ka saath choot gaya to kya
koi gila hume unse nahin
itni khushi mile unhe
ki jhalak bhi gham naa dikhe kahin.
1 comment:
sahi hain yaar !!!
ye wala mere wale se bahtar hain !!
Post a Comment